• Azadi Ki Agni Pariksha | Dastak Ek Krantikari Ki
    Aug 8 2025
    Asahyog Andolan toot chuka tha, Khilafat Andolan bhi apne antim mod par tha desh ki raajneeti bikhar rahi thi, lekin ek naya junoon janm le raha tha. Yeh kahani hai Bhagat Singh ke us mod ki, jahan woh sirf ek student nahi, ek krantikari banne ki taraf badh raha tha. Jahan uski mulaqat hoti hai Bhagwati Charan Vohra se, jahan HRA Hindustan Republican Association ki soch uske dil-o-dimaag mein utar jaati hai. Ek nayi soch, ek nayi strategy bina kisi dar ke, sirf ek agenda: Poorna Swaraj. Jab Gandhi aur Congress se log nirash ho rahe the, tab kuch yuvaon ne tay kiya ab jawab hoga kranti se. Bhagat Singh ke iraade pakke ho chuke the, ab sirf ek savaal tha: Azadi ke liye kab, kaise aur kis ke saath ladna hai? Suniye Bhagat Singh ke kranti ke raaste par pehle kadam ki kahani Tiranga Ki Zubaani, sirf Fever Stories par.
    Show More Show Less
    11 mins
  • Lahore Se Uthi Kranti Ki Awaaz | Inquilab Zindabad
    Aug 8 2025
    Yeh kahani hai Bhagat Singh ki –ek aise krantikari ki jisme bachpan se hi azadi ki chingari thi. Maa Vidyavati ki aankhon mein uska junoon dikhta tha. Lahore National College mein Sukhdev se takraav se shuru hui dosti ne, ek nayi krantikari soch ko janm diya. Natak manch, pustakalay, ya andolan Bhagat har jagah ek hi jazba lekar chala Inquilab Zindabad. Jab sawal pooche gaye, Bhagat ne jawab goli se diya. Aur jab woh gira, uske saathi uske saath khade rahe azadi ke geet gaate hue.
    Show More Show Less
    12 mins
  • Desh Ke Naam Par Baat Gayi Janta
    Aug 6 2025
    Jab ek desh do hisso mein baat gaya – dharm ke naam par, raajneeti ke naam par. Ek taraf Mahatma Gandhi ahinsa ke marg par chalne wale, aur doosri taraf Bhagat Singh ek naya Bharat dekhne ka sapna lekar chalte hue. Jab Hindu-Muslim dange bhadak rahe the, jab ahinsa aur hinsa ke beech uljhan thi, tab Gandhi ji ka Asahyog Andolan bhi toot gaya. Is kahani mein suniye ek aise mod ki dastaan, jahan Gandhi, Lala Lajpat Rai, Nehru, Bhagat Singh – sabke raaste alag ho gaye. Ek kahani jahan sapne, vichar, aur jazbaat takraate hain. Jahan ek 16 saal ka ladka – Bhagat Singh – khud se ek sawaal poochhta hai: Azadi ke liye sirf sapne kaafi hain, ya kuch kar dikhana bhi zaroori hai?
    Show More Show Less
    12 mins
  • Jab Ek Aag Ne Azaadi Ka Rukh Badal Diya #Kranti
    Aug 6 2025
    Jab Chauri Chaura mein hinsa bhadki, Gandhi ji ne andolan wapas le liya — lekin is faisle ne Bhagat Singh jaise yuvaon ke dil mein sawal paida kar diye. Ahimsa ke raaste par chalte desh ka kranti se takraav yahin se shuru hota hai. Yeh kahani hai ek faisle ki, jo azaadi ke safar ka rukh badal deta hai.
    Show More Show Less
    11 mins
  • Lahu Se Likhi Azaadi | Bhagat Singh I Azaadi ki Jung
    Aug 5 2025
    Bhagat Singh: Soch se Kranti ka SafarAngrezon ki neend uda dene wala Asahyog Andolan har kona jagaa raha tha… aur Punjab ki mitti mein ek chhota sa ladka – Bhagat Singh – kranti ke beej bone laga tha. Is Fever Stories ke powerful episode mein, suniye kaise Bhagat Singh, apne pita Kishan Singh ke sapno, Gandhi ji ke andolanon, aur apne doston ke jazbe se prabhavit hokar, ek krantikari banne ki raah par chalte hain. Yeh kahani hai ek aise daur ki, jab Bharat ke naujawan sirf talwar nahi, soch se bhi kranti karna chahte the. School ke natak se lekar police ke saamne takraav tak — har kadam par Bhagat Singh ne dikhaya apna jazba, bina dare, bina ruke. 🎙️ Kya Bhagat Singh hinsa ka raasta chunenge?Kya soch, talwar se zyada balwaan ho sakti hai? 🔔 Suniye abhi. Save karein playlist ko aur jud jaayein humare saath har naye episode mein.
    Show More Show Less
    12 mins
  • Khilafat Se Inqilab Tak #azadikaamritmahotsav
    Aug 5 2025
    Gandhi ji ne jab Khilafat aur Non-Cooperation Movement chheda, usey apna sabse bada “Brahmaastra” kaha. Par kya yeh daav sach mein desh ko azaadi ke kareeb le gaya, ya isne ek naye toofan ko janam diya? Iss powerful episode mein, suniye Bhagat Singh ki kahani Tirange ki zubaani, Ashutosh Rana ki awaaz mein. Yeh kahani hai us daur ki, jab ek taraf Gandhi ji ne ‘one-year Swaraj’ ka sapna dikhaya, aur doosri taraf ek jawaan Bhagat Singh ne us sapne ke peechhe chhupe sach ko pehle hi samajh liya. Is daastan mein aayenge Dr. B.R. Ambedkar bhi, jinhone is andolan ke nateejon ko door se dekh liya tha. Kya yeh aandolan Angrezi hukumat ki kamar tod paya? Ya isne Bhagat Singh jaise krantikaarion ko ek alag raasta chune par majboor kar diya? Suniye Fever Stories ka yeh naya chapter – Ek waqt ki sachchai, jab har Hindustani ke dil mein azaadi ka junoon ubhar raha tha… aur umeed dheere-dheere niraasha mein badal rahi thi.
    Show More Show Less
    11 mins
  • Bhagat Ne Kyun Jalayi Kitaabein? Ek Krantikari Ki Shuruaat I Azad Hind #krantikari
    Aug 4 2025
    "Jab ek 12 saal ka bachcha khoon se bhara maidan dekhta hai… toh woh sirf bachcha nahi rehta." Bhagat Singh ke andar krantikari ka beej tabhi boya gaya tha, Jallianwala Bagh ke baad. Aur jab Gandhi ji ne Non-Cooperation Movement wapas liya, Bhagat ne apni angrezi school ki kitaabein jala di. Ek khud se liya hua sankalp ki yeh azaadi asaan nahi hogi. Iss episode mein jaanein Bhagat Singh ki kahani ka woh mod jahan se unka safar ek sachche krantikari ki taraf shuru hota hai.
    Show More Show Less
    13 mins
  • Jallianwala Bagh Ne Bhagat Ko Badal Diya | AZAD HIND The Bhagat Singh Story
    Aug 4 2025
    "Ek aisa waqt tha jab Gandhi dhoti mein aaye aur Bhagat Singh ne mitti mein kranti dhoondh li." 1916 se lekar 1919 tak ke kuch saal jahaan ek taraf Gandhi ji ke satyagrah se desh jag raha tha, toh doosri taraf Bhagat Singh apne andar ubalti hui kranti ko samajhne laga tha. Kaise Bhagat Singh ne Gandhi ki baaton se prerna li… lekin phir sawal uthaye? Yeh kahani hai udte hue aasman ke neeche khadi ek chhoti si roshni ki, jo aage chal kar poore desh ki mashaal ban gayi. Yeh kahani hai Bhagat Singh ke pehle sabak ki.
    Show More Show Less
    14 mins