AZAD HIND: The Bhagat Singh Story | India's Fight for Freedom cover art

AZAD HIND: The Bhagat Singh Story | India's Fight for Freedom

AZAD HIND: The Bhagat Singh Story | India's Fight for Freedom

By: HT Smartcast Originals
Listen for free

About this listen

Bharat ki azaadi ki ladai ke ek amar krantikari ki kahani, ab sunayi jaayegi Tirange ki zabaani. Tayyar ho jaiye Azad Hind ke naye season ke liye “Bhagat Singh Ki Kahani Tirange Ki Zubaani”, jahan hum lekar aa rahe hain ek aisi kahani jo sirf itihas nahi, ek jazba hai. Is season mein aap sunenge Bhagat Singh ke bachpan se lekar unke krantikari banne tak ka safar, unki soch, unka junoon, unka balidan, aur un palon ko, jinhone ek yuva ko legend bana diya. Aur in kahaniyon ko apni aawaaz se aur bhi jeevant banayenge Ashutosh Rana, jinke zabardast narration ke saath aap mehsoos karenge har ek jazba, har ek kurbani. Yeh sirf ek kahani nahi, yeh hai ek aisa safar jo aapko garv se bhar dega, aur ek naye nazariye se Bhagat Singh ko samajhne ka mauka dega.Fever Stories Drama & Plays Social Sciences World
Episodes
  • Lahore Se Uthi Kranti Ki Awaaz | Inquilab Zindabad
    Aug 8 2025
    Yeh kahani hai Bhagat Singh ki –ek aise krantikari ki jisme bachpan se hi azadi ki chingari thi. Maa Vidyavati ki aankhon mein uska junoon dikhta tha. Lahore National College mein Sukhdev se takraav se shuru hui dosti ne, ek nayi krantikari soch ko janm diya. Natak manch, pustakalay, ya andolan Bhagat har jagah ek hi jazba lekar chala Inquilab Zindabad. Jab sawal pooche gaye, Bhagat ne jawab goli se diya. Aur jab woh gira, uske saathi uske saath khade rahe azadi ke geet gaate hue.
    Show More Show Less
    12 mins
  • Desh Ke Naam Par Baat Gayi Janta
    Aug 6 2025
    Jab ek desh do hisso mein baat gaya – dharm ke naam par, raajneeti ke naam par. Ek taraf Mahatma Gandhi ahinsa ke marg par chalne wale, aur doosri taraf Bhagat Singh ek naya Bharat dekhne ka sapna lekar chalte hue. Jab Hindu-Muslim dange bhadak rahe the, jab ahinsa aur hinsa ke beech uljhan thi, tab Gandhi ji ka Asahyog Andolan bhi toot gaya. Is kahani mein suniye ek aise mod ki dastaan, jahan Gandhi, Lala Lajpat Rai, Nehru, Bhagat Singh – sabke raaste alag ho gaye. Ek kahani jahan sapne, vichar, aur jazbaat takraate hain. Jahan ek 16 saal ka ladka – Bhagat Singh – khud se ek sawaal poochhta hai: Azadi ke liye sirf sapne kaafi hain, ya kuch kar dikhana bhi zaroori hai?
    Show More Show Less
    12 mins
  • Jab Ek Aag Ne Azaadi Ka Rukh Badal Diya #Kranti
    Aug 6 2025
    Jab Chauri Chaura mein hinsa bhadki, Gandhi ji ne andolan wapas le liya — lekin is faisle ne Bhagat Singh jaise yuvaon ke dil mein sawal paida kar diye. Ahimsa ke raaste par chalte desh ka kranti se takraav yahin se shuru hota hai. Yeh kahani hai ek faisle ki, jo azaadi ke safar ka rukh badal deta hai.
    Show More Show Less
    11 mins
No reviews yet
In the spirit of reconciliation, Audible acknowledges the Traditional Custodians of country throughout Australia and their connections to land, sea and community. We pay our respect to their elders past and present and extend that respect to all Aboriginal and Torres Strait Islander peoples today.